Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai

main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai

mujhe jis ne bakri bana diya wo to bheDiya koi aur hai

kai sardiyan bhi guzar gain main to us ke kaam na aa saka

main lihaf hun kisi aur ka mujhe oDhta koi aur hai

mujhe chakkaron mein phansa diya mujhe ishq ne to rula diya

main to mang thi kisi aur ki mujhe mangta koi aur hai

main Tanga raha tha munDer par ki kabhi to aaega sehn mein

main tha muntazir kisi aur ka mujhe ghurta koi aur hai

sar-e-bazm mujh ko uTha diya mujhe mar mar liTa diya

mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai

mujhe apni biwi pe faKHr hai mujhe apne sale pe naz hai

nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe DanTta koi aur hai

main to phenT phenT ke phaT gaya main phaTa hua wahi tash hun

mujhe khelta koi aur hai mujhe phenTta koi aur hai

mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya

mujhe lat kha ke hui KHabar mujhe piTta koi aur hai

hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein

ise kaTta koi aur hai ise banTta koi aur hai

jo garajte hon wo baraste hon kabhi aisa hum ne suna nahin

yahan bhunkta koi aur hai yahan kaTta koi aur hai

ajab aadmi hai ye 'qasmi' ise be-qusur hi jaaniye

ye to Dakiya hai janab-e-man ise bhejta koi aur hai

(1803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Main Shikar Hun Kisi Aur Ka Mujhe Marta Koi Aur Hai in PDF.