Mashuq Jo Thigna Hai To Aashiq Bhi Hai NaTa

mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa

us ka koi nuqsan na is ko koi ghaTa

teri to nawazish hai ki tu aa gaya lekin

ai dost mere ghar mein na chawal hai na aaTa

laDDan to honeymoon manane gae london

chal hum bhi clifton pe karen sair-sapaTa

tum ne to kaha tha ki chalo Dub maren hum

ab sahil-e-dariya pe khaDe karte ho Ta-Ta

ushshaq rah-e-ishq mein mohtat rahenge

sikha hai hasinon ne bhi ab judo-karaTa

kala na sahi lal sahi til to bana hai

achchha hua machchhar ne tere gal pe kaTa

is zor se chheDa to nahin tha use main ne

jis zor se zalim ne jamaya hai chamaTa

jab us ne bulaya to 'ziya' chal diye ghar se

bistar ko rakha sar pe lapeTa na lapaTa

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mashuq Jo Thigna Hai To Aashiq Bhi Hai NaTa In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Mashuq Jo Thigna Hai To Aashiq Bhi Hai NaTa is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Mashuq Jo Thigna Hai To Aashiq Bhi Hai NaTa for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Mashuq Jo Thigna Hai To Aashiq Bhi Hai NaTa in PDF.