Safar Ho Rail-gaDi Ka To Chhake ChhuT Jate Hain

safar ho rail-gaDi ka to chhake chhuT jate hain

pasine ke ghaDe goya saron par phuT jate hain

ticket lena jo pahla kaam hai aur saKHt mushkil hai

samajh lije ki ye apne safar ki pahli manzil hai

reserwation karana hai to pahle ek quli pakDen

KHushamad se mana lije quli sahib agar akDen

booking-office ka babu aap ki aasan kar dega

wo mushkil hal karega aur apni fees le lega

reserwation kara dega aur wo das-bis le ga

kisi ki seat ho wo aap ko dilwa ke dam lega

magar pahle ye tai kar len ki wo kitni raqam lega

hamesha yaad rakkhen ye usul-e-jawedani hai

ki station maqam-e-kuch hai aur dar-e-fani hai

(1304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ho Rail-gaDi Ka To Chhake ChhuT Jate Hain In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Safar Ho Rail-gaDi Ka To Chhake ChhuT Jate Hain is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Safar Ho Rail-gaDi Ka To Chhake ChhuT Jate Hain for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Safar Ho Rail-gaDi Ka To Chhake ChhuT Jate Hain in PDF.