Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai

dard ki shaKH pe ek taza samar aa gaya hai

kis ki aamad hai 'ziya' kaun nazar aa gaya hai

jaane kis jurm ki pai hai saza pairon ne

ek safar KHatm pe hai agla safar aa gaya hai

lahr KHud par hai pasheman ki us ki zad mein

nanhe hathon se bana ret ka ghar aa gaya hai

dard bhi sahna tabassum bhi labon par rakhna

marhaba ishq hamein bhi ye hunar aa gaya hai

aa gaya us ki buzurgi ka KHayal aandhi ko

we jo ek rah mein bosida shajar aa gaya hai

us ki aankhon mein nahin pahli si chahat lekin

ye bhi kya kam hai ki we lauT ke ghar aa gaya hai

apni mahrumi pe hone hi laga tha mayus

dekhta kya hun duaon mein asar aa gaya hai

zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe

tujh ko jaana tha kidhar aur kidhar aa gaya hai

haq paraston ke liye sabr ka lamha hai 'ziya'

jhuT ke neze pe sachchai ka sar aa gaya hai

(1392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai In English By Famous Poet Zia Zameer. Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai is written by Zia Zameer. Read famous Poem Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Dard Ki ShaKH Pe Ek Taza Samar Aa Gaya Hai in PDF.