Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai

jo rishton ki ajab si zimmedari sar pe rakkhi hai

to ab dastar jaisi chiz bhi Thokar pe rakkhi hai

teri yaadon ki pael si khanakti hai mere ghar mein

mere kamre ke andar gunjti hai dar pe rakkhi hai

tumhaare jism ne pahlu-ba-pahlu jis ko likha tha

wo silwaT jyun ki tyun ab bhi mere bistar pe rakkhi hai

tumhaare lams ki KHushbu abhi tak sath hai mere

mere takiye ke niche hai mere bistar pe rakkhi hai

kahan ki be-qarari bekali aur kaisi bechaini

hatheli aap ki jab is dil-e-muztar pe rakkhi hai

ab is aashuftagi mein kya bataen silsila apna

kabhi jo KHandani thi sharafat ghar pe rakkhi hai

kabhi hum us ko dil ka bojh samjhe hain na samjhenge

jo gaThri zimmedari ki hamare sar pe rakkhi hai

(1941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai In English By Famous Poet Zia Zameer. Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai is written by Zia Zameer. Read famous Poem Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai in PDF.