Rahat-e-wasl Bina Hijr Ki Shiddat Ke Baghair
rahat-e-wasl bina hijr ki shiddat ke baghair
zindagi kaise basar hogi mohabbat ke baghair
ab ke ye soch ke bimar paDe hain ki hamein
Thik hona hi nahin teri ayaadat ke baghair
ishq ke maron ko aadab kahan aate hain
tere kuche mein chale aae ijazat ke baghair
hum se puchho to ki hum kaise hain ai ham-watano
apne yaron ke bina apni mohabbat ke baghair
mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us ka
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyasat ke baghair
aks kis ka ye utar aaya hai aaine mein
kaun ye dekh raha hai mujhe hairat ke baghair
hasil-e-ishq agar kuchh hai to wahshat hai 'ziya'
aur insan mukammal nahin wahshat ke baghair
(1787) Peoples Rate This