Safar Mujh Par Ajab Barpa Rahi Hai

safar mujh par ajab barpa rahi hai

meri wahshat mujhe chaunka rahi hai

kahin se aa rahi hai teri KHushbu

udasi dur hoti ja rahi hai

abhi tak KHud nahin samjhi hai jis ko

mujhe wo baat bhi samjha rahi hai

amiron ke bache TukDon ko chun kar

gharibi bhuk ko bahla rahi hai

mubarak sham ki aamad mubarak

kisi ki yaad le kar aa rahi hai

gai shab aankh mein jo mar gaya tha

udasi KHwab wo sahla rahi hai

bahut maghrur hai ye baadshahi

hamare ishq ko chunwa rahi hai

daraKHton par nae zewar uge hain

zamin dulhan bani sharma rahi hai

hamare darmiyan alfaz gum hain

KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi

bahut ummid thi is zindagi se

magar ummid ye murjha rahi hai

'ziya' jalwa hai 'nasir-kazmi' ka

ghazal ye KHud mujhe taDpa rahi hai

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Mujh Par Ajab Barpa Rahi Hai In English By Famous Poet Zia Zameer. Safar Mujh Par Ajab Barpa Rahi Hai is written by Zia Zameer. Read famous Poem Safar Mujh Par Ajab Barpa Rahi Hai for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Safar Mujh Par Ajab Barpa Rahi Hai in PDF.