Ye To Hathon Ki Lakiron Mein Tha Girdab Koi
ye to hathon ki lakiron mein tha girdab koi
itne se pani mein agar ho gaya gharqab koi
gham ziyaada hain bahut aankhen hain sahra sahra
ab to aa jae yahan ashkon ka sailab koi
ishq ka faiz hai ye tu jo chahak uTTha hai
be-sabab itna bhi hota nahin shadab koi
abr ban kar mujhe aaghosh mein le aur samajh
kaise sahra ko kya karta hai sairab koi
tarbiyat did ki dete hain jo hain laiq-e-did
KHud kahan jaanta hai did ke aadab koi
ye jo har dhup ko lalkarti rahti hai sada
kya mere sar pe duaon ki hai mehrab koi
kaisi tabir ki hasrat ki 'ziya' barson se
na-murad aankhon ne dekha hi nahin KHwab koi
(1482) Peoples Rate This