Kahin Se Aaya Tumhaara KHayal Waise Hi

kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi

ghazal ka hona hua hai kamal waise hi

hamare husn-e-nazar ka kamal kuchh bhi nahin

to kya tumhaara hai sara jamal waise hi

tera visal ki jis taur mere bas mein nahin

hua hai hijr mein jina muhaal waise hi

tera jawab mere kaam ka nahin hai ab

ki main to bhul chuka hun sawal waise hi

kaha ye kis ne ki ukta gaya junun se main

paDa hun dasht mein ab to niDhaal waise hi

uchhaalta hai jaziron ko jis tarah ai bahr

meri bhi lash ko tah se uchhaal waise hi

nikalta hai tu jis taur raat se suraj

hamari shab se hamein bhi nikal waise hi

(1194) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Se Aaya Tumhaara KHayal Waise Hi In English By Famous Poet Zubair Qaisar. Kahin Se Aaya Tumhaara KHayal Waise Hi is written by Zubair Qaisar. Read famous Poem Kahin Se Aaya Tumhaara KHayal Waise Hi for youth and Student by Zubair Qaisar. Free Download Kahin Se Aaya Tumhaara KHayal Waise Hi in PDF.