Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c609c51ba8e754464c99025c0484f606, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Taswir UThai Hui Hai - Zubair Qaisar Poetry In English - Darsaal

Teri Taswir UThai Hui Hai

teri taswir uThai hui hai

raushni KHwab mein aai hui hai

main ne is dasht ko chhana hua hai

main ne ye KHak uDai hui hai

dost hain sare zamane wale

main ne dushman se banai hui hai

tujh se ummid wafaon ki mujhe

aag pani mein lagai hui hai

raaz ki baat bataun main tumhein

baat ye main ne uDai hui hai

aaj salis main bana hun apna

kal baDi KHud se laDai hui hai

ishq mein nam kamaya hua hai

main ne badnami kamai hui hai

ye mera apna taKHayyul hai 'zubair'

ye ghazal sab ne uThai hui hai

(1212) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Taswir UThai Hui Hai In English By Famous Poet Zubair Qaisar. Teri Taswir UThai Hui Hai is written by Zubair Qaisar. Read famous Poem Teri Taswir UThai Hui Hai for youth and Student by Zubair Qaisar. Free Download Teri Taswir UThai Hui Hai in PDF.