Chaaron Taraf Hain Khaar-o-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa

chaaron taraf hain KHar-o-KHas dasht mein ghar hai bagh sa

choTi pe kohsar ki jalta hai kya charagh sa

aab-e-rawan ki gunj se shorish-e-KHak-o-baad tak

main hi hun naqsh-e-jawedan main hi adam-suragh sa

subh bhi resha resha hai sham bhi hai rafu-talab

sina-e-mahtab bhi warna hai dil-e-dagh sa

bahs hui na tabsira shor uTha na chup lagi

dil ki bisat thi hi kya TuT gaya ayagh sa

sher kaho to chup rahe kuchh na kaho to chaunk uThe

shahr mein ek 'zubair' hai shair-e-kam-dimagh sa

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaaron Taraf Hain Khaar-o-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa In English By Famous Poet Zubair Shifai. Chaaron Taraf Hain Khaar-o-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa is written by Zubair Shifai. Read famous Poem Chaaron Taraf Hain Khaar-o-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa for youth and Student by Zubair Shifai. Free Download Chaaron Taraf Hain Khaar-o-KHas Dasht Mein Ghar Hai Bagh Sa in PDF.