Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta

jabin se naKHun-e-pa tak dikhai kyun nahin deta

wo aaina hai to apni safai kyun nahin deta

dikhai de rahe hain samne walon ke hilte lab

magar wo kah rahe hain kya sunai kyun nahin deta

samundar bhi teri aankhon mein sahra ki tarah gum hai

yahan wo tangi-e-ja ki duhai kyun nahin deta

jab us ne toD di zanjir diwaren gira di hain

asiri ke tasawwur se rihai kyun nahin deta

wo KHud se baKHsh deta hai jahan-e-ab-o-gil mujh ko

talab ke bawajud aaKHir gadai kyun nahin deta

ab aankhon se nahin hathon se chhuna chahta hun

mujhe wo wasl-ameza judai kyun nahin deta

'zubair' ek bar ungli bhi nahin chhune ko milti hai

wo apne hasht-pahlu mein rasai kyun nahin deta

(1274) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta In English By Famous Poet Zubair Shifai. Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta is written by Zubair Shifai. Read famous Poem Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta for youth and Student by Zubair Shifai. Free Download Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta in PDF.