Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana

tilsmati faza taKHt-e-sulaiman par liye jaana

mere ghar mein utarti sham ka manzar liye jaana

wo asbab-e-shikast-o-fatah KHud hi jaan jaega

alam jab hath se chhuTe to mera sar liye jaana

garaj ke sath bijli bhi chamakti hai pahaDon mein

musafir hai ki tufani hawa ko ghar liye jaana

khule jate hain jaise dil ke sare band darwaze

ab un qadmon ki aahaT kya samaat par liye jaana

wahan sunte nahin hain dekhte hain zaKHm-e-peshani

agar jaana to aaina pas-e-jauhar liye jaana

gali ki KHak muTThi mein liye hain chahne wale

'zubair' is kimiya ko tum bhi chuTki-bhar liye jaana

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana In English By Famous Poet Zubair Shifai. Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana is written by Zubair Shifai. Read famous Poem Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana for youth and Student by Zubair Shifai. Free Download Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana in PDF.