UTha Kar Barq-o-baran Se Nazar Manjdhaar Par Rakhna
uTha kar barq-o-baran se nazar manjdhaar par rakhna
hamesha ke liye ye hath ab patwar par rakhna
visali mausamon ki bazyabi chahne walo
bajae shaKH-e-gul dast-e-talab ruKHsar par rakhna
sar-e-taKHliq tan kab iKHtirai dhun nikal aae
zara ye honT tum barbat ke TuTe tar par rakhna
wabaal-e-dosh tha ye tum kisi kone pe likh dena
numaish ke liye jab sar sutun-e-dar par rakhna
baqa-e-nau-e-insani ki KHatir chahta hun main
ab apne aap ko barud ke ambar par rakhna
wo kirnon se bhari do-pahriyan ab yaad aati hain
fatada barg uThana saya ek ashjar par rakhna
'zubair' aqwam-e-alam mein bhi ho tashhir wahshat ki
garebanon ke ye TukDe KHat-e-asar par rakhna
(2452) Peoples Rate This