Meri Zat Ka Hayula Teri Zat Ki Ikai
meri zat ka hayula teri zat ki ikai
koi ham-safar hai mera ki hai teri KHud-numai
main hun pur-sukun azal se main hun pur-sukun abad tak
magar aankh kah rahi hai nahin tujh se aashnai
main to luT chuka zamane! mere pas kya raha hai
mere honT sil chuke hain main bhala dun kya duhai
ye farar ka hai lamha ki qarar ki hai surat
teri chand si jabin par nahin dagh-e-bewafai
yahi umr bhar ka dukh hai yahi zindagi ka sukh hai
na koi fareb-e-hasti na shuur-e-dil-rubai
main to kal bhi tha safar mein main hun aaj bhi safar mein
wahi daur meri manzil wahi meri jag-hansai
main 'zuhair' sochta hun kabhi zaKHm nochta hun
jaane kab nasib jage mile fikr se rihai
(1303) Peoples Rate This