Sham-e-gham Yaad Nahin Subh-e-tarab Yaad Nahin

sham-e-gham yaad nahin subh-e-tarab yaad nahin

zindagi guzri hai kis tarah ye ab yaad nahin

yaad hai utna ki main Dub gaya pasti mein

kitni unchi hui diwar-e-adab yaad nahin

main ne taKHliq kiye sher-o-suKHan ke moti

meri taKHliq ka tha kaun sabab yaad nahin

jin ke jalwon se tha aabaad jahan-e-dil-o-jaan

meri nazron se nihan ho gae kab yaad nahin

aankh mein ashk hain ashkon mein ghamon ki talKHi

kaise hote hain wo naghmat-e-tarab yaad nahin

itna hi yaad hai muddat se KHafa hain wo 'zuhair'

un ki KHafagi ka magar koi sabab yaad nahin

(1064) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-gham Yaad Nahin Subh-e-tarab Yaad Nahin In English By Famous Poet Zuhair Kanjahi. Sham-e-gham Yaad Nahin Subh-e-tarab Yaad Nahin is written by Zuhair Kanjahi. Read famous Poem Sham-e-gham Yaad Nahin Subh-e-tarab Yaad Nahin for youth and Student by Zuhair Kanjahi. Free Download Sham-e-gham Yaad Nahin Subh-e-tarab Yaad Nahin in PDF.