ChhoD Kar Dil Mein Gai Wahshi Hawa Kuchh Bhi Nahin

chhoD kar dil mein gai wahshi hawa kuchh bhi nahin

kis qadar gunjaan jangal tha raha kuchh bhi nahin

KHak-e-pa-e-yaad tak gili hawa ne chaT li

ishq ki gharqab basti mein bacha kuchh bhi nahin

haal ke zindan se bahar kuchh nahin juz rud-e-marg

aur is zindan mein juz zanjir-e-pa kuchh bhi nahin

hijr ke kale samundar ka nahin sahil koi

mauja-e-tufan-e-dahshat se wara kuchh bhi nahin

aabanae-dard ke donon taraf hai dasht-e-KHauf

ab to chaara jaan dene ke siwa kuchh bhi nahin

hath mera ai meri parchhain tu hi tham le

ek muddat se mujhe to sujhta kuchh bhi nahin

shahr-e-shab mein kaun sa ghar tha na di jis par sada

nind ke andhe musafir ko mila kuchh bhi nahin

raat bhar ek chap si phirti rahi chaaron taraf

jaan-lewa KHauf tha lekin hua kuchh bhi nahin

kasa-e-jaan hath mein le kar gae the hum wahan

lae us dar se ba-juz KHun-e-sada kuchh bhi nahin

umr bhar umr-e-gurezan se na meri ban saki

jo kare karti rahe main puchhta kuchh bhi nahin

wo bhi shayad ro paDe viran kaghaz dekh kar

main ne us ko aaKHiri KHat mein likha kuchh bhi nahin

daulat-e-tanhai bhi aane se tere chhin gai

ab to mere pas ai jaan-e-wafa kuchh bhi nahin

dil pe lakhon lafz kanda kar gai us ki nazar

aur kahne ko abhi us ne kaha kuchh bhi nahin

(1378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoD Kar Dil Mein Gai Wahshi Hawa Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. ChhoD Kar Dil Mein Gai Wahshi Hawa Kuchh Bhi Nahin is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem ChhoD Kar Dil Mein Gai Wahshi Hawa Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download ChhoD Kar Dil Mein Gai Wahshi Hawa Kuchh Bhi Nahin in PDF.