Dipak-rag Hai Chahat Apni Kahe Sunaen Tumhein
dipak-rag hai chahat apni kahe sunaen tumhein
hum to sulagte hi rahte hain kyun sulgaen tumhein
tark-e-mohabbat tark-e-tamanna kar chukne ke baad
hum pe ye mushkil aan paDi hai kaise bhulaen tumhein
dil ke zaKHm ka rang to shayad aankhon mein bhar aae
ruh ke zaKHmon ki gahrai kaise dikhaen tumhein
dard hamari mahrumi ka tum tab jaanoge
jab khane aaegi chup ki saen saen tumhein
sannaTa jab tanhai ke zahr mein bujhta hai
wo ghaDiyan kyunkar kaTti hain kaise bataen tumhein
jin baaton ne pyar tumhaara nafrat mein badla
Dar lagta hai wo baaten bhi bhul na jaen tumhein
rang-birange git tumhaare hijr mein hath aae
phir bhi ye kaise chahen ki sari umr na paen tumhein
uDte panchhi Dhalte sae jate pal aur hum
bairan sham ka daman tham ke roz bulaen tumhein
dur gagan par hansne wale nirmal komal chand
be-kal man kahta hai aao hath lagaen tumhein
pas hamare aakar tum begana se kyun ho
chaho to hum phir kuchh duri par chhoD aaen tumhein
anhoni ki chinta honi ka anyae 'nazar'
donon bairi hain jiwan ke hum samjhaen tumhein
(1457) Peoples Rate This