Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon

qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman hai in dinon

zoron pe ehtiyat-e-dil-o-jaan hai in dinon

malun hain jo mausam-e-gul ke junun mein hain

matruk rasm-e-chaak-gareban hai in dinon

ye rasm-e-raftagan thi faramosh ho gai

apne kiye pe kaun pasheman hai in dinon

aankhen hain KHushk surat-e-sahra-e-be-giyah

sina hujum-e-ashk se giryan hai in dinon

ye kaisa ohda hai ki meri chashm-e-KHwab mein

naqsh-e-qadam bhi dida-e-jabran hai in dinon

Darta hun apne sans ki sunta hun jab sada

dahshat bahut qarib-e-rag-e-jaan hai in dinon

dida-daron ke ghar pe musallat hai tirgi

andhon ki anjuman mein charaghan hai in dinon

bad-tar hai jaanwar se bhi danishwaron ka haal

jo sochta nahin hai wo insan hai in dinon

har bul-hawas dhani hai muqaddar ka aaj-kal

har be-zamir sahab-e-imkan hai in dinon

tujh se gila nahin hai ki tu phir bhi ghair tha

mera wajud mujh se gurezan hai in dinon

ji chahta hai ru-e-zamin par bikher dun

jo dard meri ruh mein pinhan hai in dinon

kaise chhuDaun kaise likhun sharh-e-dard-e-nau

har ek lafz zinat-e-zindan hai in dinon

yaadon ke phul hadd-e-nazar tak khile hain phir

dasht-e-firaq rashk-e-gulistan hai in dinon

(1536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon in PDF.