Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi

rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi

mai-KHana bhi viran hai kalisa bhi haram bhi

luTa hai zamane ne mera besh bhi kam bhi

chhina tha tujhe chhin liya hai tera gham bhi

be-ab hua ab to mera dida-e-nam bhi

ai gardish-e-alam tu kisi moD pe tham bhi

sun ai but-e-jaan-dar but-e-simbar ai sun

toDe na gae hum se to patthar ke sanam bhi

main wasl ki bhi kar na saka shiddat-e-gham kam

aaya na kisi kaam tere hijr ka sam bhi

diwar-e-sukun baiTh gai shiddat-e-nam se

barsa hai mere ghar pe agar abr-e-karam bhi

tanhai na puchh apni ki sath ahl-e-junun ke

chalte hain faqat chand qadam rah ke KHam bhi

sahra-e-gham-e-jaan mein bagulon se bacha kaun

miT jaenge ai dost tere naqsh-e-qadam bhi

sunte hain chamakta hai wo chand ab bhi sar-e-baam

hasrat hai ki bas ek nazar dekh len hum bhi

(1503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi in PDF.