Sahra Mein GhaTa Ka Muntazir Hun

sahra mein ghaTa ka muntazir hun

phir us ki wafa ka muntazir hun

ek bar na jis ne muD ke dekha

us jaan-e-saba ka muntazir hun

baiTha hun durun-e-KHana-e-gham

sailab-e-bala ka muntazir hun

jaan-e-ab-e-baqa khoj mein hai

main mauj-e-fana ka muntazir hun

khil jaunga apne aap se main

tahsin-e-saba ka muntazir hun

is daur mein KHwahish-e-tarab hai

madfan mein hawa ka muntazir hun

mazi ki saza bhugat raha hun

farda ki saza ka muntazir hun

shayad ki wahan mafar ho gham se

tasKHir-e-KHala ka muntazir hun

hathon mein hai mere daman-e-shab

suraj ki sada ka muntazir hun

barson se khaDa hun hath uThae

tasir-e-dua ka muntazir hun

mera to KHuda kabhi nahin tha

main kis ke KHuda ka muntazir hun

kahte hain jise 'nazar' musafir

us aabla-pa ka muntazir hun

(1205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein GhaTa Ka Muntazir Hun In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. Sahra Mein GhaTa Ka Muntazir Hun is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem Sahra Mein GhaTa Ka Muntazir Hun for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download Sahra Mein GhaTa Ka Muntazir Hun in PDF.