Zulm To Ye Hai Ki Shaki Mere Kirdar Ka Hai
zulm to ye hai ki shaki mere kirdar ka hai
ye ghana shahr ki jangal dar-o-diwar ka hai
rang phir aaj digar barg-e-dil-e-zar ka hai
shaiba mujh ko hawa par teri raftar ka hai
us pe tohmat na dhare mere junun ki koi
mujh pe to saya mere apne hi asrar ka hai
sirf ye kahna bahut hai ki wo chup-chap sa tha
us ko andaza mare shewa-e-guftar ka hai
kis ne kis haal mein chhoDa tha wafa ka daman
masala ye to meri jaan baDi takrar ka hai
raat bhar nind na aane ka gila kis se karun
is mein bhi hath mere tala-e-bedar ka hai
dard ki dhup se bachne ke taraddud mein khula
silsila ta-ba-ufuq KHauf ke ashjar ka hai
raat-din khoj mein dariya ki sada rahti hai
aadmi koi tere ganw mein us par ka hai
har ghaDi mohtasib-e-shahr ho maujud jahan
kaam is bazm mein kya mujh se gunahgar ka hai
jhulna dar pe is ahd mein aasan hai magar
marhala saKHt bahut jurat-e-izhaar ka hai
zindagi saat-e-maujud ke qadmon mein jhukao
faisla aaj yahi waqt ke darbar ka hai
kis nae gham se charaghan hai nazar mahfil-e-jaan
rang kuchh aur hi ab ke tere ashaar ka hai
(1599) Peoples Rate This