Farzana Hun Aur Nabz-shanas-e-do-jahan Hun

farzana hun aur nabz-shanas-e-do-jahan hun

diwana hun aur be-KHabar-e-sud-o-ziyan hun

haalanki main har waqt wahin hun wo jahan hain

wo sochte rahte hain main kya jaane kahan hun

meri hi taraf hai nigaran waqt ki dewi

har ahd mein har daur mein taqdir-e-jahan hun

muhtaj-e-tawajjoh meri har nargis-e-maKHmur

ai dost jawan hun main jawan hun main jawan hun

mujh hi se ibarat hai ye tanzim-e-gulistan

main KHanda-e-gul hi nahin kanTon ki zaban hun

qaem hai mujhi se mere aslaf ki azmat

main apne buzurgon ki sadaqat ka nishan hun

naghmon ne mere dhum macha di hai chaman mein

'jawed' main ek tanz pai-e-nauha-giran hun

(1149) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farzana Hun Aur Nabz-shanas-e-do-jahan Hun In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Farzana Hun Aur Nabz-shanas-e-do-jahan Hun is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Farzana Hun Aur Nabz-shanas-e-do-jahan Hun for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Farzana Hun Aur Nabz-shanas-e-do-jahan Hun in PDF.