Jitni Bhi Tez Ho Sake Raftar Kar Ke Dekh
jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh
phir apni KHwahishon ko giraftar kar ke dekh
diwana hai junun mein guzarta hi jaega
tu raston ko chahe to diwar kar ke dekh
yusuf bhi hai yahan pe zuleKHa-e-waqt bhi
bas misr ki si garmi-e-bazar kar ke dekh
ai mohtasib riwayat-e-kuhna ke naqsh mein
tamir karta jaunga mismar kar ke dekh
shayad isi mein sare masail ka hal mile
sardar hai jo us ko sar-e-dar kar ke dekh
'jawed' gar hai KHwahish-e-taskin-e-qalb-o-jaan
ruKH apna jaanib-e-shah-e-abrar kar ke dekh
(1534) Peoples Rate This