Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye

kaam hain aur zaruri kai karne ke liye

kaun baiTha hai tere ishq mein marne ke liye

raat guzre hue KHwabon ki rida oDhe thi

subah-e-tabir ke chilman pe bikharne ke liye

istada the sitare teri dahliz ke sath

chand be-chain tha aangan mein utarne ke liye

dast-e-fan-kar ki fankari ka aalam ye ho

naqsh be-chain ho patthar pe ubharne ke liye

koi manzil to mile aabla-pai ke tufail

koi surat to bane chehra sanwarne ke liye

is hujum-e-kas-o-na-kas ko bhi jaana hai kahin

rasta dijiye is ko bhi guzarne ke liye

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye in PDF.