Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota

kabhi jabr-o-sitam ke ru-ba-ru sar KHam nahin hota

mera jazb-e-sadaqat ghair-mustahkam nahin hota

saron ki fasl kaTne ka ye mausam to nahin lekin

saron ki fasl kaTne ka koi mausam nahin hota

jinhen aata ho fan auron ke gham apnae jaane ka

unhen ta-zindagi duniya mein koi gham nahin hota

hamare daur mein ab nafsa-nafsi ka ye aalam hai

janaze roz uThte hain magar matam nahin hota

zaban ke taziyane se kaleje par jo lagta hai

wo aisa zaKHm hai jis ka koi marham nahin hota

mili aslaf se 'jawed' mujh ko sidq ki daulat

suluk-e-narawa se bhi ye jazba kam nahin hota

(1252) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota in PDF.