Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae

phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae

gul ho ek shama to ek aur jala li jae

dur karni ho jo tariki-e-rah-e-iKHlas

mashal-ashk-e-nadamat hi jala li jae

aaina main ne sar-e-rahguzar rakha hai

taki ahbab ki kuchh KHam-KHayali jae

haal ye tark-e-talluq pe hua karta hai

jaise machhli koi pani se nikali jae

tu ise apni tamannaon mein shamil kar le

hum se to teri tamanna na sambhaali jae

aap ke uThne pe mahfil ka ye aalam paya

jaise hanste hue chehron se bahaali jae

KHastagi dekhi hai 'jawed' fasil-e-dil ki

is pe buniyaad shab-e-gham ki na Dali jae

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae in PDF.