Tera Andaz-e-suKHan Sab Se Juda Lagta Hai

tera andaz-e-suKHan sab se juda lagta hai

barbat-e-dil pe koi naghma-sara lagta hai

wo diya jis se ki raushan ho charagh-e-hasti

ghaur se dekhen hawaon mein ghira lagta hai

hum hain aaghosh-e-junun mein to tajjub kaisa

wo bhi to dushman-e-arbab-e-wafa lagta hai

gar nahin jalwagari bazm-e-tarab mein phir bhi

teri KHushbu se wahan tera pata lagta hai

donon hathon se chhupana tere chehre ka mujhe

sochta hun to tera dast-e-dua lagta hai

jis ka milna bhi qayamat se nahin kam 'jawed'

is ka milna bhi mujhe roz-e-jaza lagta hai

(1543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Andaz-e-suKHan Sab Se Juda Lagta Hai In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Tera Andaz-e-suKHan Sab Se Juda Lagta Hai is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Tera Andaz-e-suKHan Sab Se Juda Lagta Hai for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Tera Andaz-e-suKHan Sab Se Juda Lagta Hai in PDF.