Tewar Bhi Dekh Lijiye Pahle GhaTaon Ke

tewar bhi dekh lijiye pahle ghaTaon ke

phir baadban kholiye ruKH par hawaon ke

tum sath ho to dhup bhi mujh ko qubul hai

tum dur ho to pas bhi jaun na chhanw ke

KHud hi charagh-e-wada bujha de jo ho sake

ye hausle bhi dekh le meri wafaon ke

log apna muddaa-e-dili kah ke ja chuke

mazmun sochte rahe hum iltijaon ke

mujh ko har ek shart safar ki qubul hai

kanTe nikal de koi bas mere panw ke

kanon mein jaise koi shahd ghol de 'zuhur'

kitni miThas hoti hai lahje mein maon ke

(1234) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tewar Bhi Dekh Lijiye Pahle GhaTaon Ke In English By Famous Poet Zuhoor-ul-Islam Javed. Tewar Bhi Dekh Lijiye Pahle GhaTaon Ke is written by Zuhoor-ul-Islam Javed. Read famous Poem Tewar Bhi Dekh Lijiye Pahle GhaTaon Ke for youth and Student by Zuhoor-ul-Islam Javed. Free Download Tewar Bhi Dekh Lijiye Pahle GhaTaon Ke in PDF.