Hamare Shahr Mein Aane Ki Surat Chahti Hain

hamare shahr mein aane ki surat chahti hain

hawaen baryabi ki ijazat chahti hain

parindon se dar-o-diwar KHali ho gae hain

meri aankhen nagar ko KHubsurat chahti hain

likhe bhi jao lauh-e-KHak par naqsh-e-udasi

ki aati saaten harf-e-shahadat chahti hain

dilon mein qaid na-asuda sari iltijaen

hisar-e-harf mein aane ki mohlat chahti hain

zabanon par likhi zaKHm-e-zaban ki lazzaten ab

dar-o-diwar par rang-e-jarahat chahti hain

bahut se KHwab in mein dhund ban kar rah gae hain

ye aankhen izn-e-girya ki saadat chahti hain

(1395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Shahr Mein Aane Ki Surat Chahti Hain In English By Famous Poet Zulfiqar Ahmad Tabish. Hamare Shahr Mein Aane Ki Surat Chahti Hain is written by Zulfiqar Ahmad Tabish. Read famous Poem Hamare Shahr Mein Aane Ki Surat Chahti Hain for youth and Student by Zulfiqar Ahmad Tabish. Free Download Hamare Shahr Mein Aane Ki Surat Chahti Hain in PDF.