In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

jagti aankhon mein KHwabon ki salamat chahte hain

naqsh ki surat likhi aawaz ko de do rihai

be-takallum lafz bhi ab to ibarat chahte hain

aisi yaKH-basta KHamoshi mein na phir zinda bachenge

mere ThiThure honT lafzon ki hararat chahte hain

mere hathon par likhi tahrir mujh se kah rahi thi

aane wale waqt lafzon ki shahadat chahte hain

ye dar-o-diwar par be-nam se chup-chap sae

phulon raston aur bachchon ki hifazat chahte hain

hijr ke mausam mein yaad aati hai KHushbu doston ki

hum udasi mein bhi yaron ki rifaqat chahte hain

(1744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain In English By Famous Poet Zulfiqar Ahmad Tabish. In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain is written by Zulfiqar Ahmad Tabish. Read famous Poem In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain for youth and Student by Zulfiqar Ahmad Tabish. Free Download In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain in PDF.