Kuchh Gunah Nahin IsMein Etiraf Hi Kar Lo

kuchh gunah nahin is mein e'tiraf hi kar lo

jo chhupae phirte ho sab ke ru-ba-ru kah do

bojh kyun rahe dil par apni kam-kalami ka

buzdili bhi achchhi hai chahe tum ye na mano

shab jo KHwab dekha tha ek dasht-e-KHwahish ka

apna ji kaDa kar ke aaj us se kah Dalo

KHub hai saza ye bhi kasb-e-kaamyabi ki

ek shab ki qimat mein ab to umr-bhar jago

ek bar chhu lena bas gul-e-badan us ka

ek mata-e-KHushbu hai hath umr-bhar chumo

tha to wo bas ek lamha par ye us ka phailao

chahe ishraten us ki sari zindagi likkho

KHwab le ke aaya hun main dukan-e-dushman par

is se besh-qimat ab aur chiz kya becho

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Gunah Nahin IsMein Etiraf Hi Kar Lo In English By Famous Poet Zulfiqar Ahmad Tabish. Kuchh Gunah Nahin IsMein Etiraf Hi Kar Lo is written by Zulfiqar Ahmad Tabish. Read famous Poem Kuchh Gunah Nahin IsMein Etiraf Hi Kar Lo for youth and Student by Zulfiqar Ahmad Tabish. Free Download Kuchh Gunah Nahin IsMein Etiraf Hi Kar Lo in PDF.