Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai

ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai

KHarabi kuchh na kuchh to is ki KHak o baad mein hai

pahunch kar us jagah ek chup si lag jati hai mujh ko

maqam ek is tarah ka bhi meri rudad mein hai

ajab ek be-kali si mere jism-o-jaan mein hai

sifat simab ki mujh paikar-e-azdad mein hai

ye shisha-ghar abhi tak arsa-e-takmil mein hai

ye KHwab-e-KHubsurat moariz-e-ijad mein hai

main jitna uTh raha hun aur jhukta ja raha hun

kaji dar-asl awwal se meri buniyaad mein hai

zamana yun nahin jaise dikhai de raha hai

KHarabi koi mah-o-sal ki tadad mein hai

tariq-e-ishq mein koi KHarabi aa gai hai

koi bad-surati is tarz-e-nau-ijad mein hai

ye naqsh-e-KHushnuma dar-asl naqsh-e-ajizi hai

ki asl-e-husn to andesha-e-bahzad mein hai

yahan jo aa gaya ek bar phir jata nahin hai

kashish aisi kuchh is shahr-e-sitam-ijad mein hai

wo jo kahte rahe us ki gawahi mil rahi hai

ye sari guftugu un raftagan ki yaad mein hai

ye jitna hai kahin us se ziyaada bhed mein hai

tilism is dahr ka poshida haft-ibaad mein hai

(1179) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Ahmad Tabish. Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai is written by Zulfiqar Ahmad Tabish. Read famous Poem Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai for youth and Student by Zulfiqar Ahmad Tabish. Free Download Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai in PDF.