Kuza-gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe

kuza-gar dekh agar chaak pe aana hai mujhe

phir tere hath se har chaak silana hai mujhe

bandh rakkhe hain mere panw mein ghungru kis ne

apni sur-tal pe ab kis ne nachana hai mujhe

raat-bhar dekhta aaya hun charaghon ka dhuan

subh-e-ashur se ab aankh milana hai mujhe

hath uTThe na koi ab ke dua ki KHatir

ek diwar pas-e-dar banana hai mujhe

sar bache ya na bache tere ziyan-KHane mein

apni dastar bahar-taur bachana hai mujhe

chhoD aaya hun dar-e-dil pe main aankhen apni

ab zara jae jo kahta tha ki jaana hai mujhe

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuza-gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. Kuza-gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem Kuza-gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download Kuza-gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe in PDF.