Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun

purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun

dar-o-diwar par kuchh aks-e-na-dida sajata hun

mujhe sahra-nawardi ras aati ja rahi hai ab

KHarabaat-e-chaman mein lala-o-sausan ugata hun

mere is shauq se dariya kinare sab shanasa hain

jahan tufan ho maujon ka wahan langar uThata hun

tumhaari naghma-sanji ki dukan par jo nahin milta

wahi ek naghma-e-pur-soz main sab ko sunata hun

na jaane kis nagar aabaad ho jati hain wo ja kar

main aksar sham ko chhat se patangen jo uData hun

paDe hain aable lekin qadam phir bhi hain barjasta

main kab se lash apni apne kandhon par uThata hun

(1288) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun in PDF.