Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman

rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman

aa ki phir ek bar ho ja kohkan

tesha-e-azm-e-jawan daman mein rakh

tu sawar-e-shauq-e-sultani mein fan

koi saya zindagi ka gar mile

chaak-e-gul ho kar pahan lena kafan

didani hai us ke hathon mein inan

shahr mein banTe hai jo maghrib ka dhan

aa uTha phir saghar-o-mina chalen

phir se ho jae wo pahle sa suKHan

jis mein thi tah-dari-e-mansuriyat

wo anal-haq ka kahan hai bankpan

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman in PDF.