Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan

zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan

wo bilali saut wo samea kahan

khojta hai an-ginat masjud mein

qul-ho-allaho-ahad ka saeban

but-tarashi chaar-su hai jalwa-gar

de gai sab ki jabinon ko nishan

yasiyat ne karb ke dar wa kiye

KHushk ummidon ka gulshan hai yahan

to rahin-e-KHana-ha-e-iztirab

uTh raha hai tere chilman se dhuan

zulmaten saya-fagan hain har taraf

baam-o-dar par raqs mein nau-midiyan

ruk zara paDh kalma-e-la-taqnatu

KHud-baKHud rauzan khulenge darmiyan

hauslon ke phir se ug aaenge par

azm-e-mohkam ko bana le saeban

(1527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan in PDF.