Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae

aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae

kirchi kirchi KHwahishen aankhon mein chubh kar rah gain

zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae

main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li

manzilen aain to kyun aankhon mein aansu aa gae

tere na aane ke dukh mein shiddaten phulon ne kin

waqt se pahle hi sab gajre mere murjha gae

qaht jazbon ka paDa viran se hain dil ke nagar

shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae

dawa chahat ka nahin par jab use socha 'uruj'

phul KHushbu rang tare aankh mein lahra gae

(1240) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae In English By Famous Poet Aabida Urooj. Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae is written by Aabida Urooj. Read famous Poem Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae for youth and Student by Aabida Urooj. Free Download Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae in PDF.