Kya Zamin Kya Aasman Kuchh Bhi Nahin

kya zamin kya aasman kuchh bhi nahin

hum na hon to ye jahan kuchh bhi nahin

dida-o-dil ki rifaqat ke baghair

fasl-e-gul ho ya KHizan kuchh bhi nahin

pattharon mein hum bhi patthar ho gae

ab gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin

kya qayamat hai ki apne des mein

e'tibar-e-jism-o-jaan kuchh bhi nahin

kaise kaise sar-kashida log the

jin ka ab nam-o-nishan kuchh bhi nahin

ek ehsas-e-mohabbat ke siwa

hasil-e-umr-e-rawan kuchh bhi nahin

koi mauzu-e-suKHan hi jab na ho

sirf andaz-e-bayan kuchh bhi nahin

(1278) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Zamin Kya Aasman Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Aafaque Siddiqui. Kya Zamin Kya Aasman Kuchh Bhi Nahin is written by Aafaque Siddiqui. Read famous Poem Kya Zamin Kya Aasman Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Aafaque Siddiqui. Free Download Kya Zamin Kya Aasman Kuchh Bhi Nahin in PDF.