Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna

shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna

jism-e-majnun mein hua tang shaloka apna

yar banta nahin wo nur ka putla apna

KHak mein mil gaya tasKHir ka dawa apna

mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga

dar-e-mai-KHana pe bichhta hai musalla apna

wasl ki raat bahut tul hua aaKHir-kar

muKHtasar ye hai ki faisal hua qissa apna

gul khila kar abhi bulbul ko jalaun kya kya

wo inayat karen gar por ka chhalla apna

rabbi-areni ki sada ho bhi to but bol uThen

aap dikhlaen agar dair mein jalwa apna

aaina-KHana mein chal baiThiye do-chaar ghaDi

dekhna howe jo manzur tamasha apna

jite-ji KHwesh-o-aqarib the pas-e-marg afsos

KHak mein dab diya koi na samjha apna

kisi sayyaad ki paD jae na chiDiya pe nazar

aap sarkaen na mahram se dupaTTa apna

aap sau bar ukhaD jaen nahin kuchh parwa

jam gaya ek pari-zad se naqsha apna

dam-e-mahram mein phansaya hai KHuda KHair kare

aashiyana na bana baiThe ye chiDiya apna

garm-KHwabi ne teri zabh kiya ai qatil

ek dam bhi na kaleja hua ThanDa apna

rind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin

dair apna hai na kaba na kalisa apna

hai wahi sar wahi sauda wahi josh-e-wahshat

wasl tabdil hui rang na badla apna

un ki zulfon ko ye dawa hai ki hum kale hain

hum ne bachte nahin dekha kabhi mara apna

ghair se rakhiye na imdad ki ummid 'agha'

kaam aata hai meri jaan bharosa apna

(1753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna in PDF.