Kisi Aur Ne To Buna Nahin Mera Aasman Mera Aasman

kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman

tere aasman se juda nahin mera aasman mera aasman

ye zamin meri zamin hai ye jahan mera jahan hai

kisi dusre se mila nahin mera aasman mera aasman

kahin dhup hai kahin chandni kahin rang hai kahin raushni

kahin aansuon se dhula nahin mera aasman mera aasman

use chhu sakun ye junun hai meri ruh ko ye sukun hai

yahan kab kisi ka hua nahin mera aasman mera aasman

girin bijliyan meri rah par kai aandhiyan bhi chalin magar

kabhi baadalon sa jhuka nahin mera aasman mera aasman

(1197) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Aur Ne To Buna Nahin Mera Aasman Mera Aasman In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Kisi Aur Ne To Buna Nahin Mera Aasman Mera Aasman is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Kisi Aur Ne To Buna Nahin Mera Aasman Mera Aasman for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Kisi Aur Ne To Buna Nahin Mera Aasman Mera Aasman in PDF.