Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte

jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte

bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte

sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna

shahr mein phaili virani ko sab virani kahte

waqt guzarta jata aur ye zaKHm hare rahte to

baDi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte

wo to shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna

hum bhi patthar marte tujh ko aur diwani kahte

tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise

aaine ko dekh ke ek taswir purani kahte

tera lahja apnaya ab dil mein hasrat si hai

apni koi baat kabhi to apni zabani kahte

chup rah kar izhaar kiya hai kah sakte to 'anas'

ek alahida tarz-e-suKHan ka tujh ko bani kahte

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte In English By Famous Poet Aanis Moin. Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte is written by Aanis Moin. Read famous Poem Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte for youth and Student by Aanis Moin. Free Download Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte in PDF.