Bosida Jism-o-jaan Ki Qabaen Liye Hue

bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue

sahra mein phir raha hun balaen liye hue

dil wo ajib shahr ki jis ki fasil par

nazil hua hai ishq balaen liye hue

main wahshat-e-junun hun meri musht-e-KHak ko

phirti hain dar-ba-dar ye hawaen liye hue

dekha baghaur apni KHudi ka jo aaina

ubhre hazar chehre KHataen liye hue

ek shor gunjta hai musalsal KHalaon mein

hai lafz-e-kun bhi kitni sadaen liye hue

(1326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bosida Jism-o-jaan Ki Qabaen Liye Hue In English By Famous Poet Aas Mohammad Mohsin. Bosida Jism-o-jaan Ki Qabaen Liye Hue is written by Aas Mohammad Mohsin. Read famous Poem Bosida Jism-o-jaan Ki Qabaen Liye Hue for youth and Student by Aas Mohammad Mohsin. Free Download Bosida Jism-o-jaan Ki Qabaen Liye Hue in PDF.