Bura Mat Man Itna Hausla Achchha Nahin Lagta

bura mat man itna hausla achchha nahin lagta

ye uThte baiThte zikr-e-wafa achchha nahin lagta

jahan le jaana hai le jae aa kar ek phere mein

ki har dam ka taqaza-e-hawa achchha nahin lagta

samajh mein kuchh nahin aata samundar jab bulata hai

kisi sahil ka koi mashwara achchha nahin lagta

jo hona hai so donon jaante hain phir shikayat kya

ye be-masraf KHaton ka silsila achchha nahin lagta

ab aise hone ko baaten to aisi roz hoti hain

koi jo dusra bole zara achchha nahin lagta

hamesha hans nahin sakte ye to hum bhi samajhte hain

har ek mahfil mein munh laTka hua achchha nahin lagta

(1166) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bura Mat Man Itna Hausla Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Bura Mat Man Itna Hausla Achchha Nahin Lagta is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Bura Mat Man Itna Hausla Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Bura Mat Man Itna Hausla Achchha Nahin Lagta in PDF.