Jis Ki Na Koi Raat Ho Aisi Sahar Mile

jis ki na koi raat ho aisi sahar mile

sare tayyunat se ek din mafar mile

afwah kis ne aisi uDai ki shahr mein

har shaKHs bach raha hai na us se nazar mile

dushwariyan kuchh aur ziyaada hi baDh gain

ghar se chale to rah mein itne shajar mile

tai karna rah gai hain abhi kitni manzilen

jo aage ja chuke hain kuchh un ki KHabar mile

mumkin hai aaDe aaen zamana-shanasiyan

tum bhi hamari rah mein hail agar mile

qaziya ho mausamon ka na din ka na raat ka

ab ke agar mile bhi to aisa safar mile

logon ko kya paDi thi uThate aziyyaten

sahra ki KHak chhante aashufta-sar mile

(1724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ki Na Koi Raat Ho Aisi Sahar Mile In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Jis Ki Na Koi Raat Ho Aisi Sahar Mile is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Jis Ki Na Koi Raat Ho Aisi Sahar Mile for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Jis Ki Na Koi Raat Ho Aisi Sahar Mile in PDF.