Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe

sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe

bichhaD ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe

jo muD ke dekha to ho jaega badan patthar

kahaniyon mein suna tha so bhogna hai mujhe

main tujh ko bhul na paya yahi ghanimat hai

yahan to is ka bhi imkan lag raha hai mujhe

main sard jang ki aadat na Dal paunga

koi mahaz pe wapas bula raha hai mujhe

saDak pe chalte hue aankhen band rakhta hun

tere jamal ka aisa maza paDa hai mujhe

abhi talak to koi wapsi ki rah na thi

kal ek rahguzar ka pata laga hai mujhe

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Sabhi Ko Apna Samajhta Hun Kya Hua Hai Mujhe in PDF.