Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin

silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin

kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin

hain fasilon se uljhe hue sar-phire

dur tak koi shahr-e-tamanna nahin

sham se hi gharon mein paDin kunDiyan

chand is shahr mein kyun nikalta nahin

aag lagne ki KHabren to pahunchin magar

koi hairat nahin koi chaunka nahin

chhin kar mujh se le jae mera badan

mo'tabar itna koi andhera nahin

kya yahi milte rahne ka inam hai

ek khiDki nahin ek jharoka nahin

ek manzar mein lipTe badan ke siwa

sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin

tez ho jaen is ka to imkan hai

aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin

(1134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin in PDF.