Us Pe Kya Guzregi Waqt Marg Andaza Laga

us pe kya guzregi waqt marg andaza laga

muntashir hasti ka apni jis ko shiraaza laga

auliya-allah ki chaukhaT ke bhi aadab hain

sar uTha kar jo bhi aaya us ko darwaza laga

nur ki chadar tani hai yun faza-e-dahr par

jaise tare toDne ko dast-e-KHamyaza laga

jaane kis andaz se us shoKH ne Dali nazar

jo purana zaKHm tha wo bhi hamein taza laga

mai-kade ka ek hi dam mein badal jae nizam

su-e-mai-KHana bhi 'asi' aisa aawaza laga

(1349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Pe Kya Guzregi Waqt Marg Andaza Laga In English By Famous Poet Aasi Faiqi. Us Pe Kya Guzregi Waqt Marg Andaza Laga is written by Aasi Faiqi. Read famous Poem Us Pe Kya Guzregi Waqt Marg Andaza Laga for youth and Student by Aasi Faiqi. Free Download Us Pe Kya Guzregi Waqt Marg Andaza Laga in PDF.