Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena

tab-e-didar ju lae mujhe wo dil dena

munh qayamat mein dikha sakne ke qabil dena

na-tawanon ke sahaare ko hai ye bhi kafi

daman-e-lutf ghubar-e-pas-e-mahmil dena

zauq mein surat-e-mauj aa ke fana ho jaun

koi bosa to bhala ai lab-e-sahil dena

hae re hae teri uqda-kushai ke maze

tu hi khole jise wo uqda-e-mushkil dena

ek fitna hai qayamat mein bahaar-e-firdaus

juz tere kuchh bhi na chahe mujhe wo dil dena

dard ka koi mahal hi nahin jab dal ke siwa

mujh ko har uzw ke badle hama-tan dil dena

(1161) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena in PDF.