Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta

rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta

zamir-e-admiyyat se main ghaddari nahin karta

qalam shaKH-e-sadaqat hai zaban barg-e-amanat hai

jo dil mein hai wo kahta hun adakari nahin karta

main aaKHir aadmi hun koi laghzish ho hi jati hai

magar ek wasf hai mujh mein dil-azari nahin karta

main daman-e-nazar mein kis liye sara chaman bhar lun

mera zauq-e-tamasha bar-bardari nahin karta

mukafat-e-amal KHud rasta tajwiz karti hai

KHuda qaumon pe apna faisla jari nahin karta

mere bachche tujhe itna tawakkul ras aa jae

ki sar par imtihan hai aur tayyari nahin karta

main 'asi' husn ki aaina-dari KHub karta hun

magar main husn ki aaina-bardari nahin karta

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta In English By Famous Poet Aasi Karnali. Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta is written by Aasi Karnali. Read famous Poem Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta for youth and Student by Aasi Karnali. Free Download Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta in PDF.